Sahih Bukhari 631:
...Aur namaz parho jis tarha mujh {Mohammad (sws)} ko parhty howay dakhty ho...
Is tahrir main Rasool Allah (SWS) ki tamam sahih-ul-asnaad ahadith k numbers ulema-e-harman aur baroot ki "International Numbering" K aaen mutabik hen.
20: (Sahih Bukhari 827, Sunan Abi Dawod 730)
Rasool Allah (SWS) taqbir kah ker sajdy se sir mubarak othaty aur (jalsa main) apna bayan paon becha ker os par bath jaya kerty thy.
21: (Sunan Abi Dawod 827, Sunan Nisai 1146, Sunan Ibne Maja 897)
Rasool Allah (SWS) jalsa main ye dua parhty:
رب اغفرلى رب اغفرلى
Rab-bigh Firli Rab-bigh Firli
(Aye Rab! Mujy Bakhsh dy)
Note: (Sahih Muslim 6850, Al-Musan Abi Ibne Shaiba 8838)
Rab-bigh Firli Rab-bigh Firli k ba'ad ye dua parhna bhi bilkul sahih hai:
اللهم اغفرلى وارحمنى واهدنى واجبرنى وعافنى وارزقنى وارفعنى
Al-laahum-mag firli war-hamni wahnidi wajburni wa-aafini war-zuqni warfa-ani.
(Aye Allah! mujhy maaf farma dy muj par raham farma, mujy hadayat dy, mara nuqsaan pora farma, mujy aafiyat dy, mujy rizq dy aur mujy buland farma)
22: (Sahih Bukhari 757)
Rasool Allah (SWS) dosry sajdy k ba'ad bhi bathny (Yani Jalsa Istarahat) ko na sirf namaz k sakoon ka hissa qarar dary, balky oska huqam bhi farmaya kerty.
23: (Sahih Bukhari 823,824)
Rasool Allah (SWS) taaq rakaton main jalsa istarahat k ba'ad zameen par dono hath rakh ker atmad kerty howay agli rakat k lye otha kerty thy.
0 comments:
Post a Comment