[-Qurbani k Ehkam-o-Masail-]
Page-1:
1) "Jb Tum Zulhijja ka Chand dkho r Tum me se koi Shakhs Qurbani ka Irada karey to usey Bal r Nakhun Tarashney se ruk jana chahiey".
[-Sahi Muslim H# 1977-]
Agar koi Qurbani ki Istaat na rakhney wala b yhi Amal karey to usko b Swab miley ga.
2) "Do Danton waley Dondey Janwar k ilawa Zibah na karo magar ye k Tum majboor ho jao to (1 Saal ka) Dumba Zibah kar lo".
[-Fatih'ul'Bari H# 5547-]
[-Qurbani k Ehkam-o-Masail-]
Page-2:
Q: Oonth-Gaey r Dumbey ki Qurbani me kitney Afrad shirkat kr sktey hen?
1). NABI (s.a.w.w) k
safar k doran Eid-ul-Azha aa gai to Gaey men (7) or Oonth men (10) Afrad ne Shirkat farmai.
[-Tirmizi H#1501-]
2). Sydna Ibn-e-Abbas (Rz.a) farmatey hen:
"Hum ne Rasool (s.a.w.w) k sath Hudebiya waley Saal 7 (Admion) ki tarf se aik Oonth r 7 (Admion) ki tarf se aik Gaey zibah ki".
[-Sahi Muslim H# 1318-]
In Ahadees se sabit hua k Oonth me (7) ya (10) Admi shareek ho sktey hen r Gaey me sirf 7 Hisadar hotey hen.
Bakri, Mendey wagera me itfaq he k sirf aik Admi ki tarf se hi kafi he.
[-Qurbani k Ehkam-o-Masail-]
Page-3:
Q: Kon se Janwar ki Qurbani Jaiz nai?
1) Char (4) Janwaron ki Qurbani Jaiz nai he; aisa Kana jiska Kana'pan waze ho, aisa Bimar jiski Bimari waze ho, Langra jiska langra'pan waze ho r bht zayada Kamzor Janwar jo k Hadion ka dhancha ho".
Is k ilawa Jis Janwar ki bimari me Shak ho.
[-Sunan Abi Dawood 2802-]
[-Sunan Behaqi 289/9-]
[-Qurbani k Ehkam-o-Masail-]
Page-4:
Q: Kya Ghar k Sarbara (Mard) ki taraf se Qurbani purey Ehley'khana k lye kafi he?
1). Hazrat Abdullah Bin Hasham (R.z a)
farmate hain:
"Rasool ALLAH (s.a.w.w) Apni r
Apne Ahle-Khana ki tarf sey 1 Bakri ki Qurbani karte thay"
[-Mustadrak AL-Hakim, 3/456-]
2). Ammi Ayesha (R.za) bayan kartin hain:
"Rasool ALLAH (s.a.w.w) ne
(Hajjat-uL-Wida ke moqey par)
Apni Biwi'on ki tarf say Gaye (Cow) Qurban Ki"
[-Sahi Bukhari 294-]
Ahadees ka Khulasa ye he k Elehda elehda Qurbani b jaiz he r Aik (Ghar k Sarbara ki tarf) se Qurbani b purey Ehle'khana k liye kafi he.
[-Qurbani k Ehkam-o-Masail-]
Page-5:
Q: Qurbani krna Farz, Wajib ya Sunnat?
Ans:
[-Qurbani krna Sunnat he-]
Syedna Abu
Masood Badri (R.za) farmate hain:
"Main Qurbani Tark karne ka Irada karta hon, iss darr say ke esay Hatmi r
Wajib na samjh liya jaye, halan'k
Main tum sub say bar kar Asaani say Qurbani karta hun"
[-Sunan AL-Kubra Baheqi, 9/265-]
Wazay rahe ke
Syedna Abu Bakar (Rz.a) r
Syedna Umar Bin Khatab (Rz.a) say
Iss khad'shay k peshay'nazar
Qurbani chhorna Sabit hai kahin Log isko Wajib naa samjh lain.
[-Sunan AL-Kubra Bahiqi 9/265-]
[-Qurbani k Ehkam-o-Masail-]
Page-6:
Abu Huraira (Rz.a) byan krty hain:
App (s.a.a.w) ne farmaya:
"Jo (Shakhs) taqat k Bawajood b Qurbani na kry wo hamari Eid-gah k Qareeb na aye".
[-Sahi Ibn-e-Maja, 3123-]
Is Hadees me Qurbani krney ki sakht Taqeed he, isliye jo Sakhs b Ist'tat rakhey vo Qurbani zaror karey beshak ye Sunnat he (Page-5), lekin isk mutaliq taqeed bohat zayada he isliye zaror karen, bila'waja na chori jae.
[-Qurbani k Ehkam-o-Masail-]
Page-7:
QoS-IMS:
Qurbani ki Qaboliat k liye ye Zarori he k uska maqsad sirf Allah ki Raza-o-Khushnudi ka hasool ho; Kisi Mazar, Darbar, Astaney wagera pe Qurbani Na'jaiz or Haram he jiska krna ya na krna brabar he:
Allah Pak Quran me farmatey hen:
1). "Apne Rub K Lye Namaz Parhiye Or Qurbani Kijie."
[-Al-Kosar#2-]
2). "Keh Do Meri Namaz Meri Qurbani, Meri Zindagi Or Meri Mout Sirf Allah K Lye Hen."
[-Al-Anaam #163-]
Q: Assalam o Alikum jnab ap ne likha k mazar wagaira pe qurbani karna na karna barabr he ye bat drust ni q k mazar wagira pe qurbai karna shirak he
Galti ki nashandahi ka shukria. Allah ap ki qaboliyat haq ki is adat ko qaim rakhy ap kal k msg me is ki tasheeh farma dden . Jazakallah
Walikum Salam Bhai!
Mazarat pe Qubani 2 kism ki he aik vo jo Haram he r aik vo jo Shirk he.
SHIRK vo he jo Mazar waley k nam ki di jae r Haram vo he jo Mazar pe ja k Allah k nam ki di jae r Mazar ko sirf wasela bnaya jaey kisi pe Shirk ka fatwa laganey se phley uski niyat ka jan'na xarori he xayada'tar log Allah k nam ki mazar pe zibah krtey hen isliye majority k lehaz se ye haram he.
(AYF.Q-o-S IMS)
Join Q-o-S IMS:
{03348000226}
{03348000226}
Qurbaani k teeno hisson me ek jaisa gost rakhna zaroori hai
ReplyDelete