Breaking News
Loading...
Wednesday, 4 September 2013

Darood'o'Salam

01:57
[-Darood'o'Salam-]

Page-1:

1) "Jo shakhs mj per aik martaba darod bhejta he to Allah us per das (10) rehmaten nazil farmata he is k das (10) gunah muaf kr diye jatey hen,r isk das (10) darjat buland kr diye jatey hen"

[-Mishqat Bahawala-Sunan Nisai-]

2) "Mj per sab se zayada darood bhejney wala shakhs Roz'e'Qayamat mere sb se zayada qareeb hoga"

[-Mishqat Bahawala-(Hassan)-Tirmazi-]



[-Darood'o'Salam-]

Page-2:

"Apne gharon ko Qabrastan na bnao na meri Qabar ko eid (zayarat'gah) bnana,r mj per Darood bhejo,qk tm jahan b ho tmhara darod mj tk pohancha diya jata he"

[-Mishqat Bahawala-Nisai,Abu'dawood-]
1) Ye Darood'o'Salam Nabi (s.a.w.w) tk,farishtey pohanchatey hen.Vo khud nai suntey.

[-Sunan Nisai-Sunan Darmi-]
2) {Beha'qi} ki aik hadees k mutabiq Nabi (s.a.w.w) khud Darood suntey hen,ye Hadees Zaeef he qk is me {Muhamad bin Marwan al'sayedi jhotha/kazab ravi he} r {Suleman al'amash mudalas ravi he}.



[-Darood'o'Salam-]

Page-3:

1) "Us shakhs ki Naak khak'alood ho jis k samney mera zikar kiya jae lekin vo mj per darood na parhey".

[-Mishqat Bahawala-(Hassan)-Tirmazi-]

2) Jis shakhs k pas mera zikar kiya jae r vo mj per darood na bhejey to vo Bakheel he"

[-Mishaqat Bahawala-(Hassan)-Tirmazi-]

Aksar log Nabi (s.a.w.w) ka nam sun kr Darood bhejney ki bjae Anghothey chomtey hen kas kr Azan k waqt,Anghothey chomna Sabit nai r jo rawayaat milti hen vo Zaeef hen r ye Ehle'bidat ka rawaj he Ehle'sunnat ka nai.



[-Darood'o'Salam-]

Page-4:

Abdullah bin Masood (Rz.a) byan krtey hen,me Namaz parh rha tha jab'k Nabi (s.a.w.w),Abubakar'o'Umer (Rz.a) k sath tashreef'farma they jb me betha to me ne sab se pehley Allah'tala ki sana (hamd) byan ki,phir Nabi (s.a.w.w) par darood bheja phir apne lye Dua ki to Nabi (s.a.w.w) ne farmaya:
Mango,diya jae ga! Mango,diya jae ga!

[-Mishqat Bahwala (Hassan) Tirmazi-]

Jb b dua mangi jae to pehley Allah ki hamd byan karen phir Nabi (s.a.w.w) pe darood bhejen r phir Dua karen.


[-Darood'o'Salam-]

Page-5:

Nabi (s.a.w.w) pe salam bhejney ka wohi tareqa he jo hum Namaz me parhtey hen r agar koi bnda aam halaat me b vo Salam parhta he to jaiz he lekin Aqeeda ye hna chahiey k vo Salam Allah pohanch rha he,chahey vo Urdu me kahey ya Arbi me koi etraz wali bt nai.
Azan se pehley Zid'bazi me aa kr izafa krna bid'at he.
{Aslam'o'aliyka'ayuhan'nabayio'wa'rahmatulle'wa'barakatuhu}


[-Darood'o'Salam-]

Page-6:

{Aslat'to'waslam'o'alika'Ya Rasool lullah} wala Darood'o'Salam b Sabit he lekin {Mota'Imam Malik r Musanaf'ibn'e'abi Shaiba} me Ibn'e'Umar Rz.a se Qabar'e'Rasool (s.a.w.w) pe parhna sabit he,kahin r nai parha jae ga.
Lakhon'karoron Darood'o'Salam us Nabi (s.a.w.w) per k jinki Shifat Qyamat waley din hmarey lye Bais'e'najat hogi.

0 comments:

Post a Comment

 
Toggle Footer