[-Sach Bolny ki Fazilat-]
Page-1:
Allah (swt) ka irshad he:
"Pas iss shakhs sa bara Zalim kon hoga jiss ne Allah par Iftra pardazi ki (.jooth banda.), r jab Sachi baat ise pohanch gye to ise jhutla dia, Kya kafiro'n ka thikana Jahanum ma nahi hay, r jo RASOOL (s.a.w.w) sachi baat la kar aaya, r jiss nay iss ki tasdeek ki yahi log Allah sa darny wale han, on k liye on k RABB k pas har wo chiz hay jiss ki wo khawahish karain gy, bhalai aur naiki karny walo ka yahi badla he.
[.Az Zumar 32-34.]
Sacha Deen sirf Firqa'parasti se Pak Deen-e-Islam he jo sirf Quran-o-Sahi Hadees me he.
[-Sach Bolny ki Fazilat-]
Page-2:
Allah (swt) ka irshad he:
"Pas bht behter tha inn k liye farmaan ka baja lana aur achi baat ka kehna, phr jab kaam muqarar hojae, to agr Allah se sachy rahain to on k liye behtri he"
[.Muhammad 21.]
Apne Dilon ko saaf kijie r Ehad kijie k Allah se sachey rahen ge r Deen-e-Islam ko Sirf Qran-o-Sahi Hadees se Salf k Manhaj pe Samjney r Amal krney ki Koshish karen ge r Jhoothey Peron, Faqiron, Molvion se chutkara paen ge.
[-Sach Bolny ki Fazilat-]
Page-3:
Sayedna Abdullah bin Masud (Rz.a) sey rawayet he k; Rasul Allah (s.a.a.w) ne farmaya:
"Yakinan Sachai, Naiki ki traf rehnumai karti he r Naiki jannat ki taraf le jaati he, Aadmi Sach bolta rehta he, yaha'n tak k ise Allah k haan boht Sacha likh dia jata he, r jhoth Gunah ki traf rehnumai karta he, r Gunah Jahanum ki traf le jata hy r Aadmi jhut bolta rehta he, yaha'n tak k Allah k haan isey boht jhotha likh dia jata he"
[.Sahi-Bukhari Kitaab ul Adab#6094.]
[-Sach Bolny ki Fazilat-]
Page-4:
Sayedna Hassan bin Ali (Rz.a) sa rawayet he k; Rasul Allah (s.a.w.w) nay irshad farmaya:
"Sachai ba'isey Itmenan (.Sakoon.) r jhoth bai'sey Shak'uko Shubhaat he"
[.Sunan Tirmazi Kitab safa tul Qayama # 2518.]
Aik Jhoth ko chaupaney k liye mazeed jhoth bolney se behtar he k phly hi Sachai ka rasta ikhtyar kiya jae.
[-Sach Bolny ki Fazilat-]
Page-5:
Sayedna Abu Imama (Rz.a) se rawayet he k; Rasul Allah (s.a.w.w) ne farmaya:
"Main Zamanat deta hun k jo Shakhs Haqq par hony k bawajud Jhagra chor de ga isey Jannat k Gird-o-Nawah me Ghar mily ga, r jo Shakhs Mazaaq karty waqt b Jhoth ko chor dega ise Jannat k wast me ghar mily ga r jo Umda Ikhlaaq ka Malik ho isey Jannat k aala Muqaam par Ghar mily ga"
[.Sunan Abi Daood Kitaab ul adab # 4800.]
Aisey Latifey (.Jokes.) jo jhoothey hon r Gher'ikhlaqi hon unhen forward na kia jae blkey foran delete kr den r dosron ko b iski targheeb den.
[-Sach Bolny ki Fazilat-]
Page-6:
Sayedna Abada (Rz.a) farmaty hen k; Rasul Allah (s.a.a.w) ne farmaya
"Meri 6 batain maan lo Me tumhy Jannat ki Zamanat deta hun"
Sahaba (Rz.a) ne arz kia wo batain kya hen?
Aap (s.a.w.w) nay farmaya:
1). Jab tum koi baat karo to jhoth mat bolo,
2). Jab wa'da karo to khilaaf warzi na karo,
3). Jab tumhy Imaanat d jae to khayanat mat karo,
4). Apni Sharmgaho'n ki hifazat karo,
5). Apni nazrain neechi rakho,
6). Apny haatho'n ko (bury kaamo'n se) roky rakho.
[.Al Silsilatu Sahaiha 147.]
Join QoS-IMS:
{.03348000226.}
0 comments:
Post a Comment
Click to see the code!
To insert emoticon you must added at least one space before the code.