Allah kon hai?
Jadid science ki roshni main hum main se har shakhs tanhai main is bat par kuch ghour kary, tafaqur kary k main kon hun, main kaha se aya hun, mary maa,baap kaha se aye, inhen kis ne pada kia?
Kya is dunya main mara kaam sirf khana pina aur roza-marra k kaam kaaj karna aur phir mar jana hai. ya phir ye dunya ki zindagi kisi maqsad k lye hai aur is may main jo naek amaal kerta hun iska maqsad kya hai aur main jo burai se bachta hun to kun, is k pechy Driving Force kya hai. kya mujy kisi se ajar lana hai, naek amaal ker k aur burai se bach ker kya main ne kisi k azaab ka shikaar hona se bachna hai? Maqsad mujud hai ya wasy hi reit k tahat kaam ker raha hun, aur dosri bat ye k jab main ne is zindagi main aankh khuli to main ne kitni qaim (Established) chezen dakhein hen, sumundar, dariya, naharen, badal, pahaar, chitaan, phal, phool, janwar wagara, itni qaim makhloqat jo main dakhta hun ye sari ki sari makhloqat kitny tuwazun (perfect balance) k sath chal rahi hen, kya ye sab khud-ba-khud ho raha hai? ya isay koi chala raha hai.
Phir main raat k waqr asmaan ki taraf nazar othaon to asmaan par kitny sitaray nazar aty hen aur ye hum bachpan se dakh rahy hen, aur humary abao ajdaad sadiyon se dakh rahy hen, ye sari ki sari chezen ak qaim nizaam k tahat chal rahi hen, e itna baranizaam aur itny bary bary kaam kya khud-ba-khud ho rahy hen, is bat par kabhi hum ghor karen aur aj hum ne isi bat ka jawab talash kerna hai. kah tamam mamlaat khud-ba-khud ho rahy hen ya inko koi super natural agency control ker rahi hai?
Is bat ko samajny k lye ak misaal ko samajhen kah dunya main is waqt do bary AirCraft chal rahy hen,
( i ) Air Bus A380 jis main taqriban 555 musafiron ki gunjaish hai.
( ii ) Dosra (1970) se chal raha hai Boeing 747 jis main taqriban 400 musafiron ki gunjaish hai.
Ye do bary transport ka kaam sar-anjaam day rahy hen, agar main ye byan (statement) don kah ye do bary jahaz jo chal rahy hen, ye amarica main pary howay korayk dhairon ko waha chalny waly hawai jhakar (Tornado) othaty hen aur is se wo jahaz tayar ho jaty hen to koi pagal bhi ye bat man'nay ko tayar nahi ho ga, hatta kah ak ball point agar main is k bary main kahon k ye khud-ba-khud bana hai to koi bhi mari bat ko man;nay k lye tayar nahi ho ga aur agar chotay se ball point k bary main hamein ye waham bhi nahi hota to ye khud-ba-khud bana hai, humein isko dakhty he ye khayal ata hai kah iska koi designer hai. aur iska koi bananay wala ai aur ye khud-ba-khud ban nahi sakta to itni bari qainaat aur is k tamam jo nizaam chal rahy hen kya khud-ba-khud chal rahy hen? tu ye humari aqal ko punch kerny wali bat hai.
Aj k dour main sab se bara zariya (source) science hai, aur science ki tareef (Definition) hai:
"THE KNOWLEDGE OBTAIN THROUGH OBSERVATIONS AND EXPERIMENTS"
"MUSHAHIDAAT AUR TIJARBAAT K ZARIYE HASIL KIA HOWA ILM"
aur science ka jo qaim ilm hai is main koi shak ki gunjaish nahi, kun k wo mushahidaat or tijurbaat se hasil hota hai, misaal k tor par hum sab k tijurbay main ye cheez hai kah aag k oper hath rakha jay to wo jilati hai, aag ki jalany ki sift humny tijurbaat se hasil ki hai, is main ab humein koi waham ya shak nahi hai, to jitni qaim shuda science mujud hai wo sari wo sari inhen par base hoti hai (mushahidaat aur tijurbaat), aur ye pora Solid knowledge hai. jo insanon ne qaim kya hai aur insan isko manty hen, pori dunya k insanon k darmiyan ye wahid ilm haijo common hai, chahye wo kisi bhi mazhab se taluq rakhty hun.
1: Humari Qaiynaat:
Sabse pahly hum ghor kerty hen apni qaiynaat par.
Is waqt humari is qaiynaat main NASA ki latest report k mutabik 250 arab galaxies dariyaf ho chuki hen, aur har galaxy k andar 300 arab se zyada suraj hen, jasay humari galaxy k andar milky-way is k andar jo humein suraj nazar aa raha hai. Ye suraj zameen se 3 lakh gun'nah bara hai aur ye is galaxy ka sabse chota sitara hai, is tarha k 300 arab sitary humary miky-way main mujud hen ye ak galaxy ban gai, pher is tarha ki 250 arab galaxies aur mujud hen ye tamam galaxies pechly 15 arab se qamil hum-ahngi k sath har cheez harkat main hai. aur ye galaxies harkat k doran ak-dosry main se nikal jati hen aur kabhi koi sitara kisi dosry sitaray se nahi takrata aur har cheez is qaiynaat main harkat ker rahi hai perfect balance k sath pechly 15 arab saloon se, ye itna bara kaam kya khud-ba-khud ho raha hai, agar is k oper sochna shoro kern kah kya ye khud-ba-khud ho sakta hai, dunya main sahil-sumundar par jitny raet k zaray hen is se zyada sitary hen qaiynaat main, to kya ye khud-ba-khud ho raha hai ya iska koi kerny wala hai.
Phir qaiynaat k fasloon ko kilo-meters mapna kisi k bas ka kaam nahi, is lye qaiynaat k fasloon ko mapny k lye light year ki termanology istamaal kia jata hai.ak nori saal ye hota hai k ak saal tak roshni safar kerti rahy, to wo jitna fasla tah kery gi wo ak nori saal (light year) hoga aur roshni ki raftaar 186000 mile fi second hai, tani 3 lakh kilo-meter yani ak saal main sarhy-no kharab kilo-meter aur ak kharab, hazaar arab k brabar hota hai. aur zameen k qareeb tareen galaxy 20 lakh nori saal k fasly par hai, yani 20 lakh saal tak roshni chalti rahy to pahli galaxy tak pohnchy gi aur is tarha ki 20 arab galaxyes qaiynaat main mujud hen, kya ye nizaam khud-ba-khud chal raha hai ya iski koi controlling athority mujud hai, is par hum ne zor dana hai, humari milky-way main humein jo suraj nazar aa raha hai is k gard jo siyaray ghontay hen isko kahty hen nazam shamsi ( solar system ) humara suraj zameen se 13 lakh gun'nah bara hai. is suraj main har second par 50 karor atomic bomb k brabar energy kharij ho rahi hai. ye suraj pory nizam shamsi ko ly ker pechly 15 arab saal se ak star vega ki taraf safar ker raha hai, 200 kilo-meter fi second ki raftaar se aur ye abi tak waha pohanch nahi saka aur ye sab se chota suraj hai kya ye sab khud-ba-khud ho raha hai?
2: Humari Zameen:
Zameen bezvi shakal ka gaend hai, jiska qut'tar 40000 kilo-meter hai. zameen ki teen bari harkaat jo dariyaft ho chuki hen wo ye hen:
( i ) In main se pahli ye hai kah zameen apny mahwar k gird har second main adha kilo-meter fasla tah kerti hai. jiski waja se 24 ghanty main din-raat mutayan hoty hen.
( ii ) Dosri harkat iski suraj k gird hoti hai, aur wo harkat ak second main 30 kilo-meter hai, iski harkat se 365 dinon main humara saal mukammal hota hai.
( iii ) Tesri bari harkat wo hai kah pora nizam-e-shamsi pechly 15 arab saal 200 kilo-meter fi second se ak star vega ki taraf safar ker raha hai aur abi tak nahi pohncha.
In harkaat k bawajud kisi shakhs ya makhloq ko ye ahsas tak nahi hota kah wo kitny khatarnaak jahaz main safar ker rahy hen aur zameen goli ki raftaar se zyada teez suraj k gird ghoom rahi hai. Kya ye sab kuch khud-ba-khud ho raha hai? Itny bary kaam zameen-o-asmaan ki makhloqaat mil ker chala sakti hai. Agar nahi chala sakti to ye sab kuch khud-ba-khud kasy ho saktaa hai?
3: Zameen Par Makhluqaat:
Zameen par 20 lakh se zaid makhloqaat dariyaft ho chuki hen aur in main se ak insan hai aur insan dunya main 6 arab se zaid hen, is waqat dunya main itny hashraat mujud hen kah agar dunya main basny waly har insan ko 200 arab million hashraat dy diye jayn to 6 arab insanon main banty ja sakty hen. is waqat zameen par koi ak square inch bhi asa nahi jaha zinda makhluq na pai jati ho, yaha tak kah humari jild par na nazar anny waly organisms hen. jo humari jild se khuraak hasil ker rahy hen. humary maday main 6000 se 1000000 se ziyada bakteria mujud hen. jo humari khuraaq ko hazam kerty hen. ak dahi main k cup main itny bakteria mujud hen jitny is zameen par pai jany waly insan hen. inka rizq kasy pora ho raha hai? aur sari makhloqaat ka rizq mukhtalif hai, shair kabhi ghaas nahi khay ga. jasy disal engine par chalny wali gari patrol se nahi chal sakti. bakri ghosht nahi khai aur dunya main darakht aur phir inky patty inki tadaad un-ginat hai. makhluqaat ki afzaish-e-nasal main inka ak aham kirdaar hai. andy ko dekhen ak andy main se lais-dar mada nikalta hai. is main koi asi cheez nahi hai kah is main se parinda bahar aa jay, aur wo bhi itna khubsorat parinda, ak anda zameen-o-asmaan ki makhloqaat mil ker nahi bana sakti. aur dunya main la-tadaad andon main se har roz chozay, machar, mandak wagara nikal rahy hen. ap dragon fly par ghor karn ye bhi andy main se nikalta hai iski ak ankh main 25000 micro-eyes hoti hen, aur dono mila ker 5000 banti hen.
Ak beech ko hum zameen main boty hen. wo apny size se 110 arab gun'nah bara ho jata hai. dunya main kai darakht hen jo 100 foot se bhi onchy hen. Ak beech main itni malomaat mujud hen jitny aj tak tareekh-e-insan main kitaben likhi gai hen. dunya ki koi hard drive itna data mahfoz nahi ker sakti jitna ak beech main mujud hai. Ak beech main ye mujud hai k is se jo darakht bany ga is k tan'ny ki motai kya ho gi, isky sath jo pat'ty lagy gay isky pat'ton ki tadaad kya hogi, inka rang kya hoga is darakht par lagny waly phal ka zaiqa, rang, size, khushbu kya hogi aur is k zariye jo olan garen gay in se kitny darakht ban'nen gay wagara, ye tamam data ak beech main mujud hai. Insan pagal ho jata hai beech ki banawat ko dakh ker, kya ye sab kuch khud-ba-khud ho raha hai?
4: Pat'toon Ka Nizaam:
Ak pat;ty main pori factory hai, solar-energy ko apni gaza main photo synthesis k zariye istamaal kerta hai. Pat'ta apni khuraaq khud tayar kerta hai. Ak darakht k sath 10000 se ly ker 100000 tak pat'ty hoty hen air har pat'ta apni khuraq suraj ki roshni se tayyar kerta hai, Aur darakht k sath koi motar-pump nahi laga hota magar 100 foot onchy pat'ton tak bhi pani pohnch raha hota hai.Capillaries ka nizam hai, j pani ki suface tansion hai, jis ko istamaal ker k pani oper tak jata hai, zameen-o-asmaan ki makhluqaat mil ker ak pat'ta banana chahyen jo nahi bana sakti. Phool aur is k rang par ghour kern to insan dhang rah jata hai kah mitti main se asi khubsurat shay kis tarha nikal ayi hai. Kya ye sab kuc khud-ba-khud ho raha hai? Ya isko banany wala koi hai?
5: Insan:
Humara dil rozana 100000 martaaba dharakta hai, aur is se wo 10000 litre khoon humari shariyano main chalata hai, aur humari shariyanon ko jora jay to ak lakh kilo-meter banta hai jo k zameen ka bhai chakkar banta hai. Humary gurday rozana 25 dafa dialysis kerty hen aur ak dialysis ki qimat market main 4000 ropay hen. ye mil ker 100000 ropay banty hen aur wo bhi muft bagar kisi takleef k. Humaray phapary rozana 23000 martaba saans ander khanchty hen aur 23000 martaba saans bahir nikalty hn aur jo oxygen saans khanch ker jazab kerty hen ye pory jism k har khul-liye tak pohnchti hai, aur ak insan k jism main 100 trillion khul-liye mujud hen aur ak trillion hazaar arab k brabar hota hai. Isko samajny k lye science danon ne ye misaal di hai kah agar england jasy 30 mulk hun aur wo 30 mulk darakhton se pur hun aur har darakht k sath 10000 pat'ty hun to jitny pat'ton ki tadaad banay gi itny insan k jism main khul-liye hen aur in tamam tak rozana oxygen pohnchti hai, aur har khulya ak mukammal factory hai. Power Generator Plant is k ander laga howa hai, aur wo apni khurak khud tayar kerta hai, aur oxygen is tak pohnchti hai. Kya ye sab kuch khud-ba-khud ho raha hai? Ya iska koi kerny wala hai?
6: Aankhen:
Humari aanken rozana 12000 dafa chapakti hen, 12000 dafa agar hum apny ko ragaren to aankh ki khaal otar jay, is se ziyada nazuk hum cheez humari aankhen hen, lakin in main ak asa maya mujud hai jo aankh ko ghisny nahi data aur ahar wo mada thora sa zada ho jay to humari aankhon se pani bahna shoro ho jay ga, jasay humary galy main bhi thook mujud hai, Ye thora sa bhi ziyada ho jay to raal tipakny shoro ho jay gi, aur agar kam ho jay to hum bool nahi saken gay. Phir humari palkon par baal hen. aur hath paon ki ongliyon se nakhun nikal rahy hen. Ongliyon main se konsa muwad hai jo ye nikal raha hai? Ghosht main se dant, baal nikal rahy hen aur dant nahi katy jaty jab k nakhun aur baal katy jaty hen.
7: Damagh:
Humaray damagh main ak arab khuliye hen aur damagh k andar 100 trillion rabty hen jo kah insan k jism main mujud khuliyon k tadaad k brabar hen, humaray damagh main ak minute main 10 lakh chain connections hoty hen jiski waja se humara damagh kaam kerta hai, aur in main se ak connection bhi kaam kerna chor dy to humara damagh kaam nahi ker sakta, in 10 lakh connections ki waha se humary pory jism ka nizaam chal raha hai, humari sohngny, chakny, dakhny wagarra ki hisen kaam ker rahi hen.
8: Insan Ki Takhlik:
Insan mani k ak qatry se paida howa, is qatry k andar 1 crore 20 lakh sperms mujud hoty hen, har mani k qatry main itni taqat mujud hoti hai kah ak crore 20 lakh insan ak qatry se paida ho sakty hen, aur in main se ak sper harkat kerta hai aur maa ki ovary ko fertilize kerta hai aur wahan se hamal thaharta hai, aur bacha banna shoro ho jata hai. Is ak sperm mko kon rasta dikhata hai? aur wo kitny mushkil raston se wahan pohanchta hai, is mani k qatry main bazahir koi asi shay nahi kah ak itna khubsorat insan pory azaa k sath paida ho jay isi lye biology k chand qanon jo khatmi shakal ikhtiyar ker chuky hen in main se ak qanon ye hai kah (Living cells can never be produced from nonliving source) ab tak jo chezen byan ki gai hen ye asi chezen hen kah isko aam insan chahye wo kisi zamanay ka ho, wo in chezon ko observe ker k ak super living authority tak pohanch sakta hai, aur wo hai Allah (GOD) jo is qaiynaat ka akela khaliq-o-malik hai, jis ny apni shanakht k lye ambiyan akram (A.S) ka silsilah shoro farmaya aur inki barkaat logon tak Allah ki shan-nakht pohnchi aaur agar ye na bhi aty to qaiynaat main itni nishaniyan mujud hen kah insan inky zariye Allah tak pohanch sakta tha, lakin asa nahi howa insan apni khowahishaat nafs ka shikaar howa, to in main se kisi ne butoon ki aur kisi ne suraj ki aur kisi ne chaand sitaroon ki ibadat shoro kerdi aur inko apna khuda bana lya. Phir Allah ne insan ki hadayat k lye akhari hujjat k toor par ambiyan akraam ka silsilah har jaga par shoro farmaya, to phir jinhony ambiya ka daman pakra wo hadayat tak pohanch gay, isi lye jin ummatiyon main ambiya aye hen wahan Allah ka taurof mujud hai, chahye wo bigri hoi shakal main mujud ho, lakin mujud zaror hai. Jasa k dollar par bhi likha howa hai (In GOD We Trust).
Wo Allah jo apni makhloqaat se juda apny arsh par apni shaan k like mustawi hai, is ka inkaar science ki aar main bohat bary pemanay par 18vi aur 19vi sadi main howa aur afsoos ki bat ye hai do nazriyat samny aye jo har muslim ko ak ghair-muslim ko tableeg kerny k lye, ye do nazriyaat k bary main janna bohat zarori hai, ye nazriyaat is tarha samny aye kah in ki waja se dunya main itna bara fitnah barpa ho gya kah jin ki ba-qiyat ak tak baqi hen.
( i ) Pahla Nazriya:
Athaarvi sadi main immanuel kant static universe theory k naam se ak nazariya pesh kia, jis ka matlb tha kah ye qaiynaat hamesha se isi tarha mujud hai, aur is ko mazeed hamayat mili. karl marx k nazriye dai electric material azm se jo is ne 1873 main dia aur is ne ak kitab daas kapitak likhi jisma is ne kaha kah mada hi sab kuch hai ye sab isi ki shakalen hen aur ye qaiynaat shoro se hai kisi ne isy nahi banaya.
( ii ) Dosra Nazriya:
1859 main charles darwan ne ak kitab likhi origin if species k naam se theory of evolution by mean of natural selection, qudarti irtiqa k zariye chezon ka ban jana, yani jasy khud-ba-khud bandar tha pher wo insan ban gya wagara, in do nazriyat ne insanon main bohat bara pemana par tabahi phelai aur iska sabse zada khud esai shikaar howay kun k ye danishwar esaiyat se mutanfard thy aur inka mutanfr hona baja tha kun k esaiyat aqli pemanay par pora nahi otarti thi is se mutanfr ho ker inhony ne Allah ka inkaar kerna shoro ker dia aur 20vi sadi ki latest scientific discoveries ne in nazriyat ko hamesha k lye mut ki nend sula dia.
Pahly nazriyay ka naam static universe theory aur is k khatmay ka naam hai aur collapse of atheism aur dosry nazriya k khatmay ka naam hai collapse of darvanism aur dono nazriyat ka khatma 20vi sadi ki ijadaat se howa, 20vi sadi k aghaaz tak almi sata k logon main ye mash-hoor tha kah ye qaiynaat pahly se mujud hai, Allah ka kerna asa howa kah 1929 main american khala-baaz habel jis k naam par abi bhi dour-been khala main chodi rakhi hai is ne california main ak dour-been naib ki aur isny kai mahinu tak ye mushahida kia kah qaiynaat k andar har shah harkat ker rahi hai is se static theory ka janaza nikal gya kah har cheez apni jagah par stable hai, kah chezen harkat ker rahi hen magar ak harmony k sath kun k harkat ka inkaar to inhony kerna tha, dosri cheez hanbel ne ye mushahida kia kah qaiynaat main har cheez chal rahi hai aur har cheez ak dosry se dour ho rahi hai kun k physics ka qanoon hai kah point of observation jaha se ap kisi light source ko dakh rahy hoty hen agar waha se iska spectrum khancha jay aur wo red ki taraf chalna shoro ho rahi hai to iska matlb hai kah wo cheez ap se dour ohna shoro ho rahi hai, to phir is-se ye natija ukhaz kia kah agar ye qaiynaat phaal rahi hai to agar is qaiynaat ko wapis chalayn to kya koi asa nuqta bhi aye ga kah ye kahen se shoro hoi ho, to science danon ne ise ak naam dia kah tamam qaiynaat ak single point se shoro hoi jiska volume to zero tha lakin intencity lamahdood thi, volume zero ka matlb kah kuch na hony se sab kuch banana aur ak dhamaka howa aur itni bari qaiynaat wajud main ayi is ko inhony Big Bang theory ka naam dia, lakin ye abi tak theory thi, static theory k muqabaly main ye abi tak fect nahi bana tha, ab isi doran einstein ne mathematical calculation se ye natija nikaal lya tha kah har cheez harkat kar rahi hai lakin iska othna bathna inhen munkarien-e-khuda k sath tha, is lye is ne har cheez chupa ker rakhi, to einstein ne on video record ye bat batai kah it is the biggest blunder of my life kah main ne ye haqiqat is se pahly maloom ker li thi lakin main ny in munkarien-e-khuda ka ahsaas kerty howay byan nahi ki, phir 1948 main george gamow nami science daan ne kaha kah agar ye qaiynaat ak dhamaky se bani hai to is dhamaky ki koi ba-qiyaat is qaiynaat main mujud honi chahen, to 1965 main so asy science daan jinki khud bunyad materialism par thi (i) Pansies (ii) Robert Wilson
In dono ne mil ker ye ba-qiyaat (radiations) dariyaaft kerlien, is par inhen nobel prize bhi dia gya, phir 1989 main america ne ak space shuttle launch ki jiska primary mission tha kah sadiyon purany coby ko dariyaft kery ga, coby se muraad cosmic background radiations hen, 8 minute k andar space shuttle ne natija dia kah evenly distributed radiation k asraat mujud hen, jo-kah is big bang ki nishaan-dahi kerty hen, ab is k ba'ad ye theory fact ban gai aur science daan is par mutafik ho gay, aur ab ak bohat bara mahir taba'at aur physics k andar authority mana jany wala england ka science daan stefen hoking, is ne ye byan dia kah big bang ka dariyaaft hona hable ki discovery thi aur is sadi ki sab se bari dariyaaft hai, balky is ne kaha kah insaniyat ki tareekh main sab se bari dariyaat hai, is ki ak kitab A Brief History Of Time main wo kahta hai kah waqt k lehaaz se ye precisely controlled tha, is main thori si bhi onch nich hoti to ye qaiynaat dobara se khatam ho jati aur wajud main na ati, itni gahrai tak ye control hai, phir is ne ak misaal di kah agar ak pin ko iski nook par khara rakha jay aur wo ak arab saal tak khari rahy, is se bhi ziyada towzan chahye tha is qaiynaat ko banany k lye is k manay bagaar chara nahi hai kah ak super being ak super-natural agency hai jis ne is dhamaky ko is had tak qabo kia hai, kun k dhamaka be-tarteebi wajud main lata hai aur iye kasa dhamaka hai kah is ne itni khubsorat qaiynaat bana di. itny khobsorat siyary bana diye aur inka pora qanon bana dia, is lye is qaiynaat k wajud k lye jo dhamaka howa wo ak precisely controlled tha, is ko science daanon ne naam dia kah wo ak super being hai, is waqt jo sab se mash-hoor rasalah nikla hai, new week k naam se is k front page ki heading thi kah science finds God, is main inhony likha kah isi super natural agency is main involve hai jo space aur time se azaad hai aur humara ye aqida hai kah Allah ilm-o-qudrat k sath humari shah-rag se bhi ziyada qareeb hai, lakin space and time se azaad apny arsh par apni shaan k like mustavi hai, yun big bang hoi aur static theory qayamat tak k lye dafan ho ker rah gai.
Ak single cell khud ban gya kahi kichar main koi pani mila kahi asi koi sorat-e-haal bani kah ak khulye se agy kai khuliye aur agy complex aur sary janwar aur ab waqt k guzarny k sath sath qudarti chunao howa, jo chezen taqatwar thi wo zinda rahi wagara.
Lakin 1955 ain do science daan jo kah khud based upon materialism thy, inhony mil ker DNA ka structure dariyaft kia aur genes dariyaaft kiye aur khuliye dariyaaft kiye, ak chay k chamach main itny genes aa jaty hen kah is main itna data store ho jata hai kah aj tak roy zameen par jitni kitaben likhi gai aur jitni qaiynaat tak likhi jayn gi, is se ziyada data ak chahye k chamach main jo genes aty hen inma hota hai, aur in genes main precisely itna data incode hota hai, har insan k genes ak dosry kse mukhtalif hoty hen aur in genes muwad ko agar likh lya jay to is se ye maloom ho sakta hai kah aj se hazaaron saal pahly mary howay insan main kon se khasosiyaat pai jati thien, aur is main science daan bohat had tak qamiyaab howay, maslan hazaroon saal pahly mary howay insan k daant science daanon k mily aur is main se DNA inhony nikala aur iski investigation ki to wo bata sakty hen kah isky daant aur ankheon ka size aur is k baloon aur ankhon ka rang iska chahra iska kad aur gurday ka size hat-ta kah each and every human organ of human body ki gahrai tak ki malomaat zahir hen, aur ye sab malomaat likhny k lye caroroon kitaben chahyen aur ye sab genes main mujud hai, isi lye america main ak tahreek samny ayi jis ne purzoor tariky se is bat par zour dia kah genes aur DNA ka structure by chance ban hi nahi sakta, zameen-o-asmaan ki sari makhloqaat mil ker genes nahi bna saktien to ye kaam khud-ba-khud kasy ho sakta hai, america main ak tahreek jiska kahna tha kah har cheez zahanat k sath design ki ja rahi hai, is tahreek ki waja se theory of creation, fact of creation is qaiynaat main itni fine turning hen kah sirf humari zameen k andar yefine turnings kharboon ki tadaad main hen, is se ye murad hai kah mislan suraj ka zameen se fasla 15 coror kilo-meter hai, ye fasla thora kam ho jay to garmi se zameen ki makhloqaat mar jayn gi aur agar ye fasla ziyada ho jay to saray dardi se mar jayn gay, is fasly ko jo mutwazan kia gya hai ye khasusi-toor par design hai kah zameen par makhluqaat zinda rahen, phir suraj se mukhtalif rays nikalti hen lakin in main se chand zameen par pohanchti hen, zameen k ird-gird mukhtalif taheen hen, maslan ozone ki tah jo mukhtalif khatar-naak rays ko zameen par anay se rokti hen, phir isi tarha zameen ki maqnatisi field hai aur isi tarha bialogy ka ak bara qanon jo hatmi howa hai, jo kah zameen par paidaish ka sabab hai kah tamam zinda chezen pani se bani hen, to pani ki property main har property ak fine tuning hai, faza main oxygen ki tadaad hydrogen, carbon dioxide, nitrogen k muqabaly main ye bhi ak fine tuning hai, is tarha agar fine tunig ko ginan-na shoro ho jayn to ye arbon kharboon ki tadaad main banti hen aur har cheez precisely tuned hai, aur ye khud-ba-khud nahi ho sakta, isy is tarha se banaya gya hai kah ye makhloqaat zinda rahy yaha tak kah pani k ak qatry main ak arab se ziyada atom hoty hen, phir 1988 main american philosopher george greenstein ne apni kitab "Symbiolic Universe" main likha kah "na chahty howay bhi aj humein science ki ijadaat ne is bat par majboor ker dia hai kah is qaiynaat ko paida kerny wala aur isko chalany wala ak superm being hai, jo waqt aur zaman-o-maqaa se azaad hai, jis ne ye sari chezen qabo ki hoi hen, hum ye kahny par majboor hogay hen".
Phir 1997 k andar patrick balam naami ak writer ne apni ak kitab "God The Evidence" main likha "Guzashta chand dahaiyoon ki scientific discoveries ne aj insan ko ye mannay par majbor ker dia hai kah God Hypothesis dorust tha."
Aj ki science cheenkh othi hai kah is qaiynaat ka ak khaliq-o-malik hai, wo Allah hai jo tamam qaiynaat ka bananay aur chalany wala hai, ye suraj, chanda, ye dariya, sumanar tamam qaaiynaat humara jism humara dil sab Allah chala raha hai aur ye tamam chezen 1400 saal pahly farma di gai
Surah Fussilat (41) Ayaat (53):
"Ann qareeb hum zameen-o-asmaan main aur in logon ki apni janon main inko asi nishaniyan dikhayn gay kah wo cheek othay gay".
Aj science daan cheekh othy hen habel ne 1929 main jo cheez dakhi aur insan ki janon main insan nay genes ka structure dariyaft kia.
Surah
"Logon kya ye tumhary lye kafi nahi kah Allah ne har cheez ko qabo kia howa hai".
Allah ne is ayat main bohat bari misaal byan ki hai kah is qaiynaat ka qabo main hona asi misal hai kah isko qabi kia hi nahi ja sakta aur ye Allah k sath khas hai.
Surah Baqra (2) Ayaat (255):
"Allah hai wo jis k elawa koi ibadat k like nahi wo khud se zinda hai aur har cheez ko thamy howay hai".
Har cheeez main jo ameray-kun hai wo Allah ka hai aur agar ye na ho to koi cheez chal nahi sakti maslan phankha.
Surah Fatir (35) Ayaat (41):
"Allah hai jis ne asmanon aur zameenon ko thamay rakha hai kah zameen-o-asman apni jagah se hil na jayn aur agar ye hil jayn to koi nahi jo inhen apni jagah par wapis ly aye".
Do nazriyaat jo khatmi howay "big bang theory" aur "fact of creation" kah har cheez zahanat se banai gai hai in dono ko Allah ne 1400 saal pahly byan kia
Surah Anbiya (21) Ayaat (30):
"kya kafaron ne nahi dakha kah zameen-o-asmaan apas main juray howay thy to hum ne inhen phaar ker juda kia aur hum ne har zinda ko pani se paida kia, kya ab bhi emaan nahi lao gay".
1929 main hable ne dariyaft kia tha kah har cheez ak dosry se door ja rahi hai iska ziker.
Surah Az-Zariyat (51) Ayaat (47):
"Asmanon ko hum ne apny hathon se banaya aur hum musalsal isy khul rahy hen".
Is k elawa quran main bohat si chezeen mujud hen lakin isi par muqammal kerta hun kah
11 september 2001 k baad 34000 american ne islam qabool kia quran ka tarjuma english main parh ker, is waqt se ab tak rozana 400 american muslim ho rahy hen aur calinton ne bhi ye kaha tha kah "islam is the fastest growing religion in america".
Aj sab se ziyada log dunya main muslim ho rahy hen iski wajah koi tableeg nahi balky quran wo mujza hai jo nabi (sws) ko ata kia gya tha aur humary hathon main bhi mujza hai, quran main wo tamam scitific fects mujud hen jo 20vi sadi ne dariyaf kiye aur abi bohat kuch dariyaft kerna hai. Quran main 1000 se ziyada ayaat scientific field k mutaliq hen. Quran science ki kitab nahi lakin science ko byan kerti hai, kun kah har zamany k logon ne isy qabool kerna tha aur aj k zamanay main scientific tests hen jin par quran pora otarta hai. Nabi (sws) k zamanay main shar-o-shairi arooj par thi os waqt k shohra ne isko parha to unhony ne apni shairi phardi kah ye itna mazboot qalaam hai.
Sahih Bukhari Fazail-e-Quran:
"Syednaa Abu Huraira (RA) se rawayat hai kah Rasool Allah (sws) ne farmaya: tamam ambiya par emaan lany waly ummatiyon ki tadaad ka inhasaar is nabi ko diye gay mujzon par hota hai aur mujy sab se bara mujza Quran dia gya hai main ye Umeed kerta hun kah jannatiyon main se bohat bara hissa mari ummat ka hoga".
Sahih Bukhari-o-Sahih Muslim
"Jannatiyon ki adhi tadaad ummat-e-Mohammadia (sws) main se ho gi".
Result:
Aj science aur wahi k ilm k zariye humen maloom ho gya kah Allah ki hasti qaiynaat main mujud hai, apni shaan k like.
Kya ye qaiynaat bay-maqsad paida ki gai ya iska koi maqsad hai?
Surah Ad-Dukhan (44) Ayaat (38-39):
"Bay-shak zameen-o-asmaan aur in k darmiyan makhloqaat fazol nahi paida ki gai, in tamam ko hum ny maqsad k tahat paida kia hai lakin aksar log is par tawaju nahi daty".
Har koi apny dil main sochy kah tamam makhloqaat ki paidaish ka kya maqsad hai. humary lye ye janna zarori hai kah humen Allah ne kis maqsad k lye paida kia. Jis hasti ne hum se pochy bagar humen paida ker dia agar hum ne apni zindagi main apny paida kerny waly k maqsad ko na samajha to wo hasti humen azaab main mubtala bhi ker sakti hai. to phir is se bachanay wala koi nahi hoga.
Surah Muminoon (23) Ayaat 15:
"Kya tum gumaan kerty ho kah hum ne tuhem bay-maqsad paida kia aur kya tumny lut ker humari taraf nahi ana".
Insan is qaiynaat main sab se sanjida tareen makhlooq hai. ye sari qaiynaat insan ki waja se paida hoi
Surah Hud (33) Ayaat 7:
"Allah hi wo hai jis ny 6 din main asmaan-o-zaminoon ko paida kia aur is ka arsh pani par tha taky wo humen azmay kah tum main se achy amal wala kon hai".
Surah Adh-Dhariyat (51) Ayaat 56-58:
"Main ny jinnaat aur insan ko mahaz is lye paida kia hai kah wo sirf mari ibadat kern. Na main in se rozi chahta hun na mari ye chahat hai kah ye mujy khilayn. Allah to rizq dany wala zor-awar aur mazboot hai"
Is tarha ibadat ka tarika bhi hona chahye, agar har banda apny tariky se ibadat kerna shoro kerdy to itihaad khatam ho jay ga aur ho sakta hi hum ibadat k asy tariky apna len jo Allah ko pasand na hun to ibadat k lye Allah ne anbiya akram (A.S) ko namona bana ker aur ye silsilah nabowat bil akhar Mohammad (sws) par khatam howa aur Allah ne ap (sws) ko qamil hadayat k sath mab-os farmaya.
"Allah hi hai jis ney Rasool Allah (sws) ko hadayat aur deen-e-haq k sath mab-oos farmaya taky isy tamam adiyan par galib ker dy aur chahye mushrik bura maney"
Allah ne Nabi (sws) ko bahtareen namona dany k lye banya.
Surah Al-Ahzaab (33) Ayaat 21:
"Sirf Rasool Allah (sws) ki zindagi main bila shuba tumhary lye namona hai"
Humary Imam-e-Azam (sws) is dunya se taqriban 1400 saal pahly wafaat pa gay lakin ap (Sws) ummat ko raygaan chor ker nahi gay balky do azeem chezon k hawaly ker k gay.
Mota-lil-Malik:
"Main tum main apny ba'ad do chezen chory ja raha hun, Allah ki kitab aur is k Rasool Allah (sws) ki sunnat, jo inko pakary rakhy ga kabhi gumrah nahi hoga".
AP (SWS) NAY HUMAY KISI SHAKHS K HAWALY NAHI KIA BALKY WASHI K HAWALY KIA AUR IS WAHI K ZARIYE ALLAH NEY PORI DUNIYA MAIN ISLAM KO PHELA DIA.
Video Lecture In Urdu:
0 comments:
Post a Comment