Breaking News
Wednesday, 4 September 2013

Ghussey Ko Zabt Karny Ki Fazilat

03:07
[-Ghussey ko Zabt karny ki Fazilat-]

Page-1:

"Pas Tumhy jo kuch dia gya hy wo Zindgani'e'Dunya ka kuch yun hi sa Asbaab he, aur Allah k pas jo hay wo iss se kai guna behter r paidaar he, wo un k liye jo Imaan lae r sirf apny RABB hi par Bharosa rakhty hen, r Kabeera Gunaho se r Behayaion sa bachty hen r Ghussa k waqt ma'af kar daty hen"

[-As'shura 36-37-]

[-Ghussey ko Zabt karny ki Fazilat-]

Page-2:

"R Allah r iss k Rasool (s.a.w.w) ki Farmabardari karo ta k Tum par rehm kia jae, r Apny Rabb ki Bakhshish ki traf r iss Jannat ki traf doro jiss ka Arz Asmaan r Zameen k baraber he, jo un Parhezgaro'n k liye tayar ki gye he jo Khushi r Gham har haal me Allah k Raasty ma kharch karty hen, Ghusa piny wale, r logo se Darguzar karny wale hen, Allah in Naiko kaaro'n ko Mehboob rakhta he"

[-Al-imran 132-134-]


[-Ghussey ko Zabt karny ki Fazilat-]

Page-3:

Sayedna Abu Huraira (rz.a) se rawaet he k Rasool Allah (s.a.a.w) nay farmaya:

"Taqatwar woh nahi he jo pachaar dai, Asal Taqatwar (Pehalwan) woh he jo Ghusse k waqt nafs par qabu rakhy".

[-Sahi Bukhari Kitaab'ul'Adab #6114-]



[-Ghussey ko Zabt karny ki Fazilat-]

Page-4:

Sayedna Ma'az bin Anas (rz.a) se rawaet he k Nabi (sallalaho alaihi wa'alihi wasalam) ne farmaya:

"Jo shakhs Ghussy ko pe jae, jab k woh badla lene par qadir ho Allah (swt) Qayamat waly din ise tamam Makhlokat k samny bulae ga r ise kahy ga k woh jis Hoorain (hoor) ko chahy Apny liye Passand kar ley"

[-Sunan Tirmazi #2493~Sunan Abi Aawood # 4777-]



[-Ghussey ko Zabt karny ki Fazilat-]

Page-5:

Sayedna Abu-Darda (Rz.a) farmaty hen k Aik Shakhs ne Rasool Allah (s.a.w.w) se arz kia k:

"Mujy koi asa Amal bataye jo mujy Jannat me dakhil kar dey?

Aap (sallaho alaihi wa'alihi wasalam) ne farmaya:

"Ghussa na kar tujy Jannat mil jaegi"

[-Al Targheeb-wal-Tehreeb Kitaab ul Adab # 4050-]

0 comments:

Post a Comment

:) :)) ;(( :-) =)) ;( ;-( :d :-d @-) :p :o :>) (o) [-( :-? (p) :-s (m) 8-) :-t :-b b-( :-# =p~ $-) (b) (f) x-) (k) (h) (c) cheer
Click to see the code!
To insert emoticon you must added at least one space before the code.

 
Toggle Footer